LOVE TEXTS
Mohabbat aur maut dono bin bulaye aate hai,
kab aa jye koi nahi jaanta.
lekin dono ka ek hi kaam hai,
ek dil le jaati hai, aur dusri dharkan...
Dil ke kone se ek aati hai,
hame har pal aapki yaad aati hai.
Dil poochta hai bar-bar dil se jinhe yaad karte ho,
kya uhe bhi hamari yaad aati hai
Tntezar rehta hai har sham tera,
raate kat ti hai le kar naam tera.
muddat se rakhi hai ek umeed dilme,
ki aaj ayega koi paigaam tera
Yaad kro na kro hum gilla nahi karte
virano mein phool khila nahi karte
magar itna yaad rakhna ki
jo aapko dil se yaad kre
woh insaan roz mila nahi karte
Rooth jao kitna bi mna lenge hum
door jao kitne bi paas bula lenge hum
dil aakhir dil hai koi samunder ki ret nahi
ke likhkar naam aapka mita denge hum
Sanse bankar saath nibhange
kosish rhegi ki aapko nahi staenge
kabhi pasand na aye saath hamara to bta dena
mehsoos bi na kar pao, itni door chale jyenge
Jab AAP udaas ho hume yaad kar lena
jab DIL chahe humse mulakat kar lena
rehte hai AAAPKE DIL ke kisi kone mein
jab YAAD aye talash kar lena
us paar hi sahi kinara to hai
timtimata hi sahi sitara to hai
ho jati hai aapki yaad se hi tasali
door hi sahi koi hamara to hai
Jab bi kisi ko kareeb paya hai
kasam khuda ki usi se dhokha khaya hai
kaanto ko dosh kya de
humne to ye zakham phoolon se paya hai
Kal fursat na mili to kya krogi
itni mohabat na mili to kya krogi
roz keh deti ho "kal milenge- kal milenge"
kal meri aankhe hi na khuli to kya krogi
LOVE IS LIKE A WAR
EASY TO START
HARD TO END
IMPOSSIBLE TO FORGET
EASY TO START
HARD TO END
IMPOSSIBLE TO FORGET
patte hilte nahi
hawa hila deti hai
ladke bigarte nahi
ladkiya bigaad deti hai
Bin tumahre na jee payenge hum
tumhari parchai banke jindagi bitayenge hum
humse door jane ki sochna bhi mat
aapke itna sochne se bhi mar jyenge hum
khushi mili to muskura na sake
ghum mila to aansu baha na sake
is zindagi ka yahi raaz hai
jise chaha use pa na sake aur
itna chaha ki phir kabhi bula na sake
ISHQ bura hai to use hone mat dena
Ishq KHUDA hai to use khone mat dena
karte ho agar kisi se saccha pyaar
to Khuda ki kasam use rone mat dena
Hum to masroof the apni tanhaiyon mein
Muddat baad kisine hame pukara hai
ik pal to hum ruk kar sochne lage
kya yehi naam hamara hai
Zamane ki har Jannat aapke liye hogi
ye aasma ye zamin aapke liye hogi
humse keh bhi na paoge
usse pehle hamare hisse ki khushi aapke liye hogi
Rulane wale aakhir hame rula denge
zehar dekar gehri neend sula denge
fir bhi koi ghum na hoga hume
DARD tab hoga jab aap hme bhula denge
(EHSAAS) aapki doori ka
(YAKEEN) aapki baaton ka
(KADAR) aapke jajbato ki
(FAKAR) aapse pyaar ka
(INTEJAR) rehta hai aapse meethi mulakat ka
Khul ke dilse milo to saza dete hai log
sache jazbaat bhi thdukra dete hai log
kya dekhenge do insaano ka milna
baithe hue do parindo ko bhi uda dete hai log
Raatko raat ka tohfa nahi dete
Dil ko jazbaat ka tohfa nahi dete
hum to tumhe chand bhi de dete
magar chand ko chand ka dhokha nahi dete
Intejar ke pal bitana muskil hai
beete hue lamhe bhulana muskil hai
jo ek baar bas jye dil mein dharkan banke
wo pyaar dil se bhulana muskil hai...
AANSUO ke chalne ki awaaj nahi hoti
DIL ke tutne ki aahat nahi hoti
agar hota DARD ka ehsaas aapko
to DARD dene ki aadat na hoti
Rula kar hame wo khush ho jyenge
dard vo dil ka de kar bahut muskuraenge
dua hai khuda se unhe dard na dena
hum to seh gaye
lekin wo toot jyenge
Udaas na hona agar aapse mulaqat na ho
khaffa na hona agar aapse baat na ho
khuda kre zindagi khushiyo se saje aapki
bas pukar lena hame agar koi saath na ho
Dil ke bazaar mein daulat nahi dekhi jati
ho jaye pyaar to surat nahi dekhi jati
ek hi insaan pe luta do sab kuch
kyuki pasand ho cheej to kimat nahi dekhi jati
Na jaane kab wo rishta ban gaya
koi anjana jaane kab apna ban gaya
hame ehsaas bhi na hua
aur koi hamari zindagi ki jaroorat ban gaya
Shikayat hai aapse ye hamari
ke ab yaad nahi aati aapko hamari
bhool gaye shayad aap hame ya phir,
aap yaad karte the ye galat fehmi thi hamari
Yaadein hoti hai satane ke liye
koi rootha hai phir maan jane ke liye
PYAAR karna koi mushkil to nahi
bas jaan tak chali jati hai use nibhane ke liye
Agar dekhna chaho ki hum tumhe kitna yaad karte hai,
to Sitaro ko gino
jitne gin pao
utna tum hame yaad karti ho
aur jitne reh jaye
utna hum yaad karte hai
Karte the kabhi humse kitni mohabbat
aaj wo kyu apni awaaj sunane se katrate hai
hum bhi wahi, dil bhi wahi hai
na jane kyu log badal jate hai
Aaj har ek pal khoobsurat hai
dil mein teri sirf teri surat hai
khush bhi kahe dunia gham nahi dunia se
kyuki dunia se jyada mujhe teri jrurat hai
Khuda ne sapne mein kaha: apne ghamo ki yu numayish na kar
apne naseeb ki yu azmaais na kar
jo tera hai, tere dar par khud ayega
Roz- roz use paane ki khuwaish na kar
Zindagi mein us lamhe khaas ban gaye
mile to mulakat ban gaye
bichade to yad ban gaye
aur jo dilse na gaye wo aap ban gaye
Tum bin agar gujara hamara hota
to yu na aaj tumko pukara hota
hamare dil mein sirf tum hi tum ho
kaash tumhare dil par bhi haq hamara hota
Maine usko salaam likh bheja,
haal-e-dil tamaam likh bheja
maine poocha tere HOONTH kaise hai?
usne sirf "JAAM" likh bheja.
maine poocha tere BAAL kaise hai?
usne "KUDRAT KA INAAM" likh bheja
maine poocha MULAKAT kab krogi?
usne "KAYAMAT KI SHAM" likh bheja
maine poocha itna TADPATI kyu ho?
usne "JAWANI KA INTEQAAM" likh bheja
maine poocha kisi se NAFRAT karti ho?
zalim ne "MERA HI NAAM" likh bheja
Chand bna to sitare bane
Husan bna to diwane bane
kuch to baat hai aap mein
yu hi nahi hum aapke diwane bane
Comments
Post a Comment